har taraf sannata hai....har taraf hai lahoo baha...
har taraf padee hui jaane kitne nirdosho ki hai laash.....
har taraf hai aag jani....har taraf ghanghor dhuan........
har ghar me matam hai....jaane kitne behno ki ujdi maang....
aur na jaane kitne bachche hue anaath...
ye sab hai shaitan ki chaturai...samajh na raha bhai bhai....
satta me dhouns jamane ki ye chaal uske bahut kaam ayi....
kisne paya kisne khoya ye baat na saamne ayi....
dikh raha har taraf nafrat aur tere naam pe sab ne lahoo bahai...
der bahut hua mere ram rahim...
phir se darshan de jao......
kat rahe sab naam pe tere unko tum aakar bachao....
anth na hai badle ki aag ka....jo tere naam pe hai lagai.....
kan kan main hain aap toh phir
mandir masjid kyu banwai??
No comments:
Post a Comment