Monday, October 11, 2010

“Sapna tuta hai toh dil kabhi jalta hai”,

Sapna tuta hai toh dil kabhi jalta hai,
Haan thoda dard hua par chalta hai…………

Jaanta hoon jo chaha hai wo mil nahi sakta
Haan umeed ka diya hai jo bujh nai sakta
Jo socha tha waisa ho toh nai sakta hai
Haan thoda dard hua par chalta hai…………

Har lamha kat raha mushkil se
Dosti ho gayi tanhayi se
Umeedo ka kinara deh gya
Yaadon ka sahara reh gya
Yaar tera intezaar karte karte jab ye dil jalta hai
Haan thoda dard hua par chalta hai…………

Tujhe kitna chahta hoon ye keh nai sakta
Koshish karke bhi jata nai sakta
Tum mere nai ho sakte,jab ye dil pata hai
Haan thoda dard hua par chalta hai…………
“Sapna tuta hai toh dil kabhi jalta hai”,

Friday, October 1, 2010

kyun??????

har taraf sannata hai....har taraf hai lahoo baha...
har taraf padee hui jaane kitne nirdosho ki hai laash.....
har taraf hai aag jani....har taraf ghanghor dhuan........
har ghar me matam hai....jaane kitne behno ki ujdi maang....
aur na jaane kitne bachche hue anaath...


ye sab hai shaitan ki chaturai...samajh na raha bhai bhai....
satta me dhouns jamane ki ye chaal uske bahut kaam ayi....
kisne paya kisne khoya ye baat na saamne ayi....
dikh raha har taraf nafrat aur tere naam pe sab ne lahoo bahai...

der bahut hua mere ram  rahim...
phir se darshan  de jao......
kat rahe sab naam pe tere  unko tum aakar bachao....
anth na hai badle ki aag ka....jo tere naam pe hai lagai.....
kan kan main hain aap toh phir
mandir masjid kyu banwai??