Dooriyan darmiyaan itni hai
Beetein waqt ka hisaab nahi
Zakhm puraane itne hai gehrayi ka pata nahi
Arsa beet gya Khul k saans liye
Dil se muskuraye kab wo bhi yaad nahi.
Par wo saath kahi hai itna yakeen hai..
Kabhi parchayi banke Toh kabhi ehsaas banke
Kabhi saanson me abr sa hai
Toh kabhi neend me khwaab sa hai...
Kabhi Aankho me ashk banke
Toh kabhi Ruh me Dard banke
Saath to hai wo itna yakeen hai..